Nice Urdu Poetry
Ghazal Shayari
|
Urdu Poetry |
Ghazal Shayari
Usey to kho hi chukey phir khayal kya uska,
Yeh fikr kesi ke ab hoga haal kya us ka,
Woh aik shakhss jisey khud hi chorr bethe they,
Karke karna ab kis khatir malaal us ka,
Yeh soch kar na miley phir usey kabhi Khalid,
Na janey ho ga nadaamat se kya haal us ka..
Ghazal Shayari
Woh kya din they jab ik larki mere khawbon mein rehti thi,
Woh mere sath hansti thi woh mere sath roti thi,
Lipat jati thi mujhse bhag kar main jab bhi ghar ata tha,
Kahin bhi jab jaaney lagta to woh rasta rok leti thi,
Woh kehti thi mohabbat ka koi mausam nahin hotaa,
Woh subah o shaam chahat ke sunehrey khawb bunti thi,
Hum aksar chandni raton mein sehraa ke taraf jatey,
Woh bheegi rai par mera aur apna naam likhti thi,
Woh daryaa ke kinarey beth jati thi kabhi ja kar,
Mujhe us waqt sohni ki tarah woh sachi lagti thi,
Bicharr janey ka us ke dil mein ik dharrka sa rehta tha,
Woh mera haath gehri neend mein bhi thaamey rakhti thi..
Ghazal Shayari
Us ko bhi bachaana hai khud ko bhi bachana hai,
Ik simt hai zaat apni ik simt zamana hai,
Hum se na koi uljhey hum log hain deewaney,
Aandhi se humain zid hai ik deep jalana hai,
Hum dono ko baanta hai daryaa ke kinaron ne,
Iss simt bhi rehna hai us paar bhi jaana hai,
Yeh ishq to fitrat hai kese ho judaa mujhse,
Yeh rog hai matti ka aur sadiyon purana hai,
Basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein,
Itna jo kaha mene ik sheher basaana hai,
Ik aankh hai sehraa to ik aankh samahdar hai,
Kya janiye is dil main kis kis ko samaana hai,
Kehne ko bohat kuch hai aye Saad magar hum ne,
Ik vaada nibhaana hai ik dard chupaana hai..
Ghazal Shayari
Jeevan raah pe chalte chalte murr ke dekha barson baad,
Kya khoya kya hum ne aaj yeh jaana barson baad,
Aik zara si deir mein barson ki khamoshi toot gayi,
Kiss ne yeh jheel main pehlaa pathar phenka barson baad,
Bethe bethe aaj kis ki yaad ne yun angrrayi li,
Ashkon ka be’mausam badal toot ke barsa barson baad,
Muddat baad milley hum dono to aesa mehsoos hua,
Waqt ne tasveer ke do tukrron ko jorra barson baad,
Raat mere kamrey mein koi saaya sa lehraaya tha,
Neend urri ankhon ne shayed sapna dekha barson baad,
Taabeeron ke khoj mein aaj apna aap ganwa bethe,
Ansar apna har ik sapna jhonkaa nikla barson baad..
Ghazal Shayari
Teri mohabbat ka bhojh ddhonay se reh geya hoon,
Mujhe yeh dukh hai mein tera honey se reh geya hoon,
Mujhe bhi aati hai duniya daari bicharrney waley,
Magar mein iss saanchey pe roney se reh geya hoon,
Kahin hoon mojood main bhi iss dastaan main lekin,
Teri zubaani beyaan honey se reh geya hoon,
Mere hadh-o-haal mukhtlif to nahin hain tujhse,
Magar mein kyon tere jesa honey se reh geya hoon,
Yeh khaak mere lahuu ki peyaasi hai aur Shehzaad,
Yahan mein shaakh gulaab bonnay se reh geya hoon..
Ghazal Shayari
Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,
Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,
Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,
Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,
Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..
Ghazal Shayari
Is liye murr ke dekhna bhi hai,
Pairr sookha hai, haraa bhi hai,
Jo mere gham se ashnaa bhi hai,
Mujh mein ik shakhss dusra bhi hai,
Ab khuda janey shair hai ke sawaal,
Us ne kaghaz pe kuch likha bhi hai,
Sab ult phair hain muqaddar ke,
Warna woh shakhss to mera bhi hai,
Tu mere hadh-o-haal puchta hai,
Kya tere pass aayina bhi hai,
Yeh jo pairron main shor hai Aami,
Is se lagta hai kuch hawaa bhi hai..
Ghazal Shayari
Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,
Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,
Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain,
Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,
Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,
Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..
Ghazal Shayari
Socha tha aik khawb jo dekha nahin geya,
Phir us ke baad umar bhar soya nahin geya,
Kuch main bhi khudpasand tha kuch woh bhi be’niaz,
Toota to phir woh silsilaa jorra nahin geya,
Jab bhi mila, mila woh mujhe aayina badast,
Mujh se zeyada dair yeh dekha nahin geya,
Sompi thi jis ko khayal ki saari amaantain,
Us se mera khayal bhi rakha nahin geya,
Awaargi bhi sath rahi umar bhar Ataa,
Manzil ki simt main kabhi tanhaa nahin geya..
Ataa ul Haq Qasmi
Ghazal Shayari
Assar mujh per kare gi kya,
Kisi gulzaar ki khushbu,
Mere dil mein to rehti hai,
Tumhari yaaad ki khushbu,
Tujhe bezaar karti hai dil e abad ki khawhish,
Mujhe abaad rakhti hai dil e barbaad ki khushbu,
Tere aney ke waadey per yeh kesa ratjaga sa hai,
Mujhe soney nahin deti tere irshaad ki khusbhu,
Woh jitne zakham deta hia mujhe sab phool lagte hain,
Mujhe mashoor rakhti hai sitam ki khushbuu,
Jahan dekho sara mohabbat se moater hai,
Kahin sheerin ki khusbu hai kahin farhaad ki khusbu..
Ghazal Shayari
Usey pana tha usey khona tha,
Yeh bhi hota tha woh bhi hona tha,
Kitni dair aur us ko rona tha,
Woh jo hona tha woh to hona tha,
Shayed is wastey mili aankhain,
Bojh kuch aansuyon ka ddhona tha,
Kya ghazzab kar liya ankhon ne,
Mujhe to tujhse chup ke rona tha,
Hum ne moti samajh liye they Adeem,
Warna daaman kisey bhigona tha..
Ghazal Shayari
Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Ba-zahir ishq sumander main uterna tau laga asaan,
Magar iss ssfar-e-chahat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Ksttay jo roz-o-shab apnay hijer ke aah-o-zaari main,
Tanhye ke akoobat ko na tum samjhay na main sumjha,
Wasal ke wo haseen lumhay jinhay hum yaad kertay hain,
Haqeeqat main uss qurbat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Chalay sargosheyan kertay hum bund aankhain jin ruston per,
Onn ruston ke banawat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Uthha ke sar hajoom-e-shaher main phirna bhe ghalti thhee,
Jahan walon ke aadat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Humain purkaif lumhon main milay jo dost bun bun ker,
Chhupi dil main adawat ko na tum sumjhay na main sumjha,
Yehi jana hay shaukat nay bus apni kahani main,
Mohabbat ke haqeeqat ko na tum sumjhay na main sumjha..
Ghazal Shayari
Dosti itni barhi us se judai ho gayi,
Dekhte hi dekhte sabzey se kaayi* ho gayi,
Jesa suntey they kabhi wesa zamana ageya,
Rog sastey ho gaye mehngi dawaayi ho gayi,
Ab to matti main bhi pehli si wafaa baqi nahin,
Khait banjar ho gaye aur rut paraayi ho gayi,
Shaam ko dholakk ki layy per gaa rahi thi larkiyan,
Hum rahe chup chaap aur us ki sagaayi ho gayi,
Ik nazar main cheen kar woh meri duniya le geya,
Aik pal main zindagi bhar ki kamaayi ho gayi..
Ghazal Shayari
Main ke pachtaawa na tera hota,
Kash tu ne mujhe socha hota,
Hum marey hote magar jee uthtey,
Tu ne ik baar pukaara hota,
Tum mujhe dekhte apni chat se,
Kaash main shaam ka taara hota,
Main bhattak jata tere rastey se,
Gar kabhi tera ishaara hota,
Jiss gharri tu ne karam farmaya,
Kaash woh lamhaa dobara hota,
Tujh se bhi toot na sakta aye kaash,
Main tera pukhtaa iraada hota,
Tere aangan mein kisi saawan mein,
Ban ke barish hi main utraa hota,
Jis se koi bhi na guzraa ho Shumaar,
Main tere dil ka woh raasta hota..
Akhtar Shumaar
Ghazal Shayari
Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho,
Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho,
Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se,
Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho,
Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafayi ke,
Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho,
De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu,
Milli jo ishq mein, zara jageer to dekho,
Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki,
Yeh khat mera nahi janaan, zara tehreer to dekho..